Aye sarwar e duniya o deen teri niraali shaan hai by Nusrat Fateh Ali Khan

Composition In Raag Des


Khuda Ka Noor Tujhmein Hu-Ba-Hu Hai Khuda Pinha Tu Ru-Ba-Ru Hai
Teri Azmat Ka Andaza Ho Kisko Khuda Hai Aur Khuda Ke Baad Tu Hai
 
Aye Sarwar-E-Duniya-O-Deen Teri Niraali Shaan Hai
Dar Hai Tera Rashq-E-Haram Chehra Tera Qur’an Hai
 
Tujhne Sochna Mohabbat Tujhe Dekhna Ibadat
Yehi Meri Bandagi Hai Main Karun Teri Talawat
 
Kaali Kamli Waale Aaka Chehra Tera, Qur’an …
 
Itni Khuli Hai Humpe Haqeeqat Tere Rukh Ki
Allah Bhi Karta Hai Talawat Tere Rukh Ki
 
Kaunain Mein Tu Baad-E-Khuda Tu Arfa-O-Ala
Kaunain Ke Har Goshe Mein Tujhse Ujaala
Qur’an Ko Hum Padhte Hain Azraah-E-Haqeeqat
Qar’an Tujhe Padhta Hai Aye Sayyed-E-Waala
 
Kaali Kamli Waale Aaka Chehra Tera, Qur’an …
Dar Hai Tera Rashq-E-Haram Chehra Tera Qur’an Hai
 
Khatm-E-Rusul Mukhtar-E-Gul Nabiyon Ka Tu Sultan Hai
Soorat Teri Husn-E-Azal Tujhpe Jahaan Qurbaan Hai
 
Mangton Ka Aaka Rakh Bharam Kar De Karam Shah-E-Ummam
Dukhiyon Ki Mushkil Taalna Tere Liye Aasaan Hai
 
Meraaj Ka Dulha Hai Tu Khaliq Ke Dar Pahuncha Hai Tu
Tu Hai Habib-E-Qibriya Tu Arsh Ka Mehmaan Hai
 
Dar Se Tere Babastagi Dono Jahaan Ki Betari
Nisbat Teri Ya Mustafa Imaan Ki Pehchaan Hai

Post a Comment

0 Comments